Rahu ek chhaya grah hai jo insaan ko ya toh raja bana deta hai ya bhikshari. Rahu ki mahadasha 18 saal ki hoti hai. Iske lakshan hain—achanak dimaag mein uljan, galat faisle, neend na aana aur dushmanon ka badhna. Agar Rahu shubh hai, toh yeh videsh yatra aur raajneeti mein safalta deta hai. Ashubh Rahu se bachne ke liye chandan ka tilak lagayein aur kutte ko roti khilayein. Rahu ka darr dimaag se nikalne ke liye zaroori hai ki aap apni kundli ka sahi vishleshan karwayein. Astropulse AI aapko batayega ki Rahu aapke liye shubh hai ya ashubh.